tumhen
jafa se na yun baz ana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
tawil
rat k pahlu main kab se soi hai
nawid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha
bahut
qallaq hua hairat gazida tufan ko
k kaun dube kinhen dub jana chahiye tha
bujhe
chiragon main kitne hain jo jale hi nahin
sawad-e-waqt inhen jagmagana chahiye tha
ajab
na tha k qafas sath leke ur jate
tarapna chahiye tha pharpharana chahiye tha
ye
meri har k kar-e-janan se hara magar
bicharne wale tujhe yad ana chahiye tha
taman
umr ki asurdagi-e-wasl k bad
firaq akhiri dhoka tha khana chahiye tha