dekh
to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
gor
kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai
khana-e-dil
se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai
nala
sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai
larti
hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai
sudh
le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai
baithne
kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai
yun
uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai
ishq
ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai