faqirana
aye sada kar chale
miyan khush raho ham dua kar chale
jo
tujh bin na jine ko kahte the ham
so is ahd ko ab wafa kar chale
koi
na-ummidana karte nigah
so tum ham se munh bhi chipa kar chale
bahot
arzu thi gali ki teri
so yan se lahu main naha kar chale
dikhai
diye yun ki bekhud kiya
hamain ap se bhi juda kar chale
jabin
sajda karte hi karte gai
haq-e-bandagi ham ada kar chale
parastish
ki yan tain ki ay but tujhe
nazar main sabon ki Khuda kar chale
gai
umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bara kar chale
kahen
kya jo puche koi ham se "Meer"
jahan main tum aye the, kya kar chale