bat
kya admi ki ban ai
asman se zamin napwai
charakh
zan uske waste hai madam
ho gaya din tamam rat ai
mah-o-khurshid-o-bad
sabhi
uski khatir hue hain saudai
kaise
kaise kiye taraddad jab
rang rang usko chiz pahunchai
usko
tarajah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afzai
hairat
ati hai uski baten dekh
khud sari khud satai khud rai
shukr
ke sajdon mein ye wajib tha
ye bhi karta sajda jabin sai
so
to uski tabiyat-e-sarkash
sar na lai faro ke tuk lai
'Mir'
na chiz musht-e-khak Allah
un ne ye kibriya kahan pai