hasrat
hai tujhe samne baithe kabhi dekhun
main tujh se mukhatib hun tera hal bhi puchun
dil
main hai mulaqat ki khwahish ki dabi ag
mehndi lage hathon ko chupa kar kahan rakhun
jis
nam se tune mujhe bachpan se pukara
ik umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun
tu
ashk hi ban k meri ankhon main sama ja
main aina dekhun to tera aks bhi dekhun
puchun
kabhi gunchon se sitaron se hawa se
tujh se hi magar a k tera nam na puchun
ai
meri tamanna k sitare tu kahan hai
tu aye to ye jism shab-e-gam ko na saunpun