tere
ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
sitam
ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun
ye
jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun
koi
dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
bhari
bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun