ajab
waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi
ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin
se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham
apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
bari
barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se