tu
bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
tujh ko tera nasib rulaye Khuda kare
raton
mein tujh ko nind na aye Khuda kare
tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare
aye
bahar tere gulistan mein bar bar
tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare
meri
tarah tujhe bhi jawani mein gam mile
tera na koi sath nibhaye Khuda kare
manzil
kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare
tujh
par shab-e-wisal ki raten haram hon
shammein jala jala k bujhaye Khuda kare
ho
jayen bad-duayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aye Khuda kare