diya
hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye
zid, k aj na awe aur aye bin na rahe
qaza se shikwa hamein kis qadar hai, kya kahiye
rahe
hai yun gah-o-begah k ku-e-dost ko ab
agar na kahiye k dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma
k yun de rakha hai hamko fareb
k bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh
k karte hain bazar mein wo pursish-e-hal
k ye kahe ki sar-e-rahguzar hai, kya kahiye
tumhen
nahi hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
hamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen
sawal pe zaom-e-junun hai, kyun lariye
hamein jawab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad
saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kije
sitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha
hai kisne k "ghalib" bura nahi lekin
siway isak ki ashuftasar hai kya kahiye