ki
wafa hamse to gair use jafa kahte hain
hoti ai hai k achon ko bura kahte hain
aj
ham apni pareshani-e-khatir un se
kahne jate to hain, par dekhiye kya kahte hain
agle
waqton k hain ye log, inhen kuch na kaho
jo may-o-nagmein ko andohruba kahte hain
dil
mein a jae hai, hoti hai jo fursat gash se
aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain?
hai
par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahte hain
pa-e-afgar
pe jab se tujhe raham aya hai
khar-e-rah ko tere ham mehr-e-giya kahte hain
ik
sharar dil mein hai, us se koi ghabrayga kya
ag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye
lati hai us shokh ki nakhwat kya rang
us ki har bat pe ham nam-e-Khuda khate hain
wehshat-o-shefta
ab marsiya kahwen shayad
mar gaya "Ghalib"-e-ashuftanawa kahte hain