kahte
ho na denge ham dil agar para paya
dil kahan k gum kije hamne muddaa paya
ishq
se tabiat ne zist ka maza paya
dard ki dawa pai dard-e-bedawa paya
dostdar-e-dushman
hai etimad-e-dil malum
ah beasar dekhi nala narasa paya
sadagi-o-purkari
bekhudi-o-hoshiyari
husn ko tagaful main juraat azama paya
guncha
phir laga khilne aj ham ne apna dil
khun kiya hua dekha gum kiya hua paya
hal-e-dil
nahin malum lekin is qadar yani
ham ne bara dhunda tum ne bara paya
shor-e-pand-e-naseh
ne zakhm par namak chirka
ap se koi puche tum ne kya maza paya