kabe
ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai
mujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai
kuch
tazgi ho lazzat-e-azar k liye
har dam mujhe talash naye asman ki hai
hasrat
baras rahi hai mere mazar se
kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai
qasid
ki guftagu se tasalli ho kis tarah
chipti nahin vo jo teri zaban ki hai
sun
kar mera fasana-e-gam us ne ye kaha
ho jaye jhut sach, yahi khubi bayan ki hai
kyun
kar na ae khuld se adam zamin par
mauzun vahin vo khub hai, jo shay jahan ki hai
urdu
hai jiska nam hamin jante hain Dag
hindustan main dhum hamari zaban ki hai