un
k ek jan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain
tum
bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain
ai
falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain
shahar
khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain
sharm
samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain
tum
agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain
jis
ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain
kaun
sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain