marun
to main kisi chehre main rang bhar jaun
'Nadeem' kash yahi ek kam kar jaun
ye
dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb ki pyas
jo izan ho to teri yad se guzar jaun
mera
wajud meri ruh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun
tere
jamal ka parau hai sab hasinu par
kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jauan
main
zinda tha k tera intazar Khatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun
ye
sochta hun k main butparast kyun na hua
tujhe qarib jo paun to Khud se dar jaun
kisi
chaman main bas is Khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paun dhar jauain
ye
ji main ati hai taKhliq-e-fan ke lamhon main
k Khun ban ke rag-e-sang main utar jaun